Aapki support ke liye
Hindi Language Support
Yeh servise Hindi aur Urdu bhaashiyo ke liye hain jinko Japanese bhasha(zabaan) ki kami ki wajah se Japan me rehne me dikkat hoti hai.
Un logo ko aise kaamo me hum support karege jaise form bharna,
school walo se baat karna, ya kuch registration ya applilation dena.
Urdu / Hindi me anuwaad aur tarjmaa kar sakti hu.
यह सेवा हिन्दी और उर्दू भाषियों के लिए है जिन्हें जापानी भाषा की कमी की वजह से
जापान में आम जि़न्दगी में दिक्कत होती है। उन लोगों को ऐसे कामों में हम मदद करेंगे
जैसे कि फ़ोर्म भरना, स्कूल वालों से बात करना या कुछ एप्रिकेशन देना आदि।
हिन्दी-जापानी में अनुवाद और दुभाषिया उपलब्ध है।


Yeh kya document aaya hai?
Company, bank ya city office se daily milne wale documents ka translation kar sakte hain.
Fees:
1document: 500yen~
*Document ke hisaab se fees badalti hai.

City office ya hospital me madad chahiye?
Jab aapko city office ya hospital me jana padta hai to hum aapki support ke liye saath jaa sakte hain.
Fees: Aane jaane ki fees aur
1hour 1000yen

Form bharna chahta hu lekin Japani nahi aati...
Koi baat nahi, hum hain na!
Form bharne me ya application dene me madad karege.
Fees: 1document: 500yen~
Main karugi aapki madad.
Namaste, mera naam Yumi hai.
Mujhe Hindi aur Bhaarat bahot pasand hai.
Maine Japan ki university aur Delhi ke ek sansthaan me Hindi sikhi hai. Japan me Hindi se related kaam karte aai hu.
Aapko kya madad chahiye?
Aap ko agar support ki zarurat hai to is form se hume contact kare.